Rahul Sunita Kumar
2 min readFeb 24, 2019

Sukoon hai mujhe..

Jaha dam tod deti hain ummeedein ghut-ghut kar,
Cheekh ke shant hojati hain bezubaan awaazein,
Jaha kuchal diye jatein hain sapne okhal me,
Aur jala di jati hain chulhe me kitaabein,
Jaha aurat ka wajood teri besharmi se kam hai,
Wo tera ghar mera nahi,
Main beghar hoon, sukoon hai mujhe..

Jaha beh raha hai khoon pani sa,
Aur mohtaj hai kisaan pani aur anaaj ko,
Jaha dharm, jaat aur paise ki rajniti hai,
Aur beimaan loot raha hai bhavishya se aaj ko,
Jaha jan gan pis chuka hai, aur man nirash hai,
Wo tera desh mera nahi,
Main bevatan hoon, Sukoon hai mujhe.,

Jaha doodh ki nadiyan behti ho naale me mil jane ko,
Aur khada main bhukha chaukhat pe bas hath pasaare rehta hu,
Jaha band hain daan tijori me, aur ishwar char diwari me,
Wo tera shivalay mera nahi,
Main us chaukhat se door hoon, sukoon hai mujhe,

Jaha khauf dikhake dozakh ka, jannat ka laalach milta hai,
Aur door Khuda ki rehmat se shaitan tujhe lejate hain,
Jaha Qur'an ki aayat ke badle bas jihaad sunai deta hai,
Aur mazhab ke naam par nafrat ki talwar tujhe de jate hain,
Wo tera mazhab mera nahi,
Main bemazhab hoon, sukoon hai mujhe.,

Jaha bacche beche jate hain, kachre me pheke jate hain,
Aur makhmal ke libas me lipte insan ko izzat milti hai,
Jaha chor ka beta chor aur raja ka beta raja hai,
Aur mazdooro ki lashon pe mahal banaye jate hain,
Jaha meri pehchan mujhe, samaaj ke log batate hain,
Wo tera samaaj mera nahi,
Main bhatakta Raahi hoon, sukoon hai mujhe !

-Rahul kushwaha (Raahi)

Rahul Sunita Kumar

Through words flow emotions, reality and the much-needed elixir of life. Sit at the brink or sail through the waves is a choice to make. I made my choice !